8:57 PM

wo nahi hai to uski aas rahe ek jaaye to ek paas rahe

wo nahi hai to uski aas rahe
ek jaaye to ek paas rahe

jab bhi kasne laga utaar diya
is badan pe kai libaas rahe

ek din main agar lahoo pi loon
kai dino bartano me baas rahe

dono ek doosre ka munh dekhain
aaina aaine ke paas rahe

aaj hum sab ke saath khoob hanse
aur phir der tak udaas rahe

8:55 PM

Khushboo ki Tarah Aaya wo tez Hawaaon mein

Khushboo ki Tarah Aaya wo tez Hawaaon mein
Manga tha jise hum ne Din Raat Duaaon mein

Tum Chat pe nahi aaye Main Ghar se nahi Nikla
Ye Chaand bahut bhatka hai Saawan ki Ghataon mein

Is shehar mein ek Larki Bilkul hai Ghazal Jaisi
Bijli si Ghataaon mein Khushboo si Hawaaon mein

Mausam ka Ishara hai Khush Rehne do Bachhon ko
Maasoom Mohabbat hai Phoolon ki Khataon mein

Hum Chaand Sitaro ki Raahon ke Musaafir hain
Har Raat Chamakte hain Tareek Khilaaon mein

Bhagwaan hi bhejenge Chaawal se Bhari Thaal
Maasoom Parnidon ke Maasoom Pehluon mein

Dada bare bhole the sab se yeh hi kehte the
Kuch Zehar bhi Hota hai Angrezi Dawaaon mein

8:55 PM

Kal khwab mein dekha tha tumhe

Kal khwab mein dekha tha tumhe
Sach hai tab maloom tha na hume

Khwab mein haathon mein humare tumhara hath tha
Khwaab toota to khaamosh deewaro ka saath tha

Uss ek ehsas ne neend uda di humari
Saari raat guzar gayi jaagte hue humari

Kaise bhool sakte hain hum us haseen khwaab ko
Kuch pal ke liye hi to jis mein paya tha aapko

8:54 PM

Qurbaton mein bhi judaai ke zamaane maange

Qurbaton mein bhi judaai ke zamaane maange
dil wo bemahar ke rone ke bahane maange

Hum na hote to kisi aur ke charche hote
khalqat-e-shahar to kahne ko fasaane maange

Yahi dil tha ke tarasta tha maraasim ke liye
Ab yahi tark-e-taalluq ke bahaane maange

apna ya haal ke jee haar chuke lut bhi chuke
Or mohabbat wohi andaaz purane maange

Zindagi hum tarse daghon se rahe sharminda
Or tu hai ke sada aaina khane maange

dil kisi haal pe maane hi nahi jaan-e-'Faraz'
mil gaye tum bhi to kya aur na jaane maange

8:48 PM

Tumhi kahte the ye masle nazar suljhi to suljhenge - DR. KUMAR VISHWAS

Hume do pal surur e ishq mein madhosh rahne do
Jehan ki seediyan utro ama ye josh rahne do

Tumhi kahte the ye masle nazar suljhi to suljhenge
Nazar ki baat hai to phir ye lab khaamosh rahne do

8:47 PM

Badalne ko to in aankhon ke manzar kam nahi badle Tumhari yaad ke mausam - DR. KUMAR VISHWAS

Badalne ko to in aankhon ke manzar kam nahi badle
Tumhari yaad ke mausam, humare gham nahi badle

Tum agle janam mein humse milogi tab to maanogi
Zamane aur sadi ki is badal mein hum nahi badle

8:42 PM

Bhramar koi kumudini par machal baitha to hungama - DR. KUMAR VISHWAS

Huye paida to dharti par hua aabad hungama
Jawani ko humari kar gaya barbaad hungama

Humare bhaal par takdeer ne ye likh diya jaise
Humare saamne hai aur humare baad hungama 


Ibarat se gunaaho tak ki manzil mein hai hungama
Zara si pee ke aaye to bas mehfil mein hai hungama

Kabhi bachpan jawani aur budhape mein hai hungama
Zehan mein hai kabhi to fir kabhi dil mein hai hungama

Kalam ko khoon mein khud ke dubota hoon to hungama
Girebaan apna aansoo mein bhigota hoon to hungama

Jo mujh par bhi nahi khud ki khabar wo hai zamane par
Main hansta hoon to hungama main rota hoon to hungama

Jab aata hai jeewan mein khayalaaton ka hungama
Ye jajbaaton mulakaaton hansi raaton ka hungama

Jawani ke kayaamat daur mein ye sochte hain sab
Ye hungame ki baate hain ya hain baaton ka hungama

Kabhi koi jo khulkar hans liya do pal to hungama
koi khwaabon mein aakar bas liya do pal to hungama

Main us se door tha saazish hai saazish hai
Use baahon mein khulkar kas liya do pal to hungama

Bhramar koi kumudini par machal baitha to hungama
Humare dil mein koi khwaab pal baitha to hungama

Abhi tak doob kar sunte the sab kissa mohabbat ka
Main kisse ko hakikat mein badal baitha to hungama 

8:38 PM

Koi deewana kehta hai koi pagal samjhta hai -Dr. kumar Vishwas

Koi deewana kehta hain koi pagal samjhta hai,
magar dharti ki bechaini ko bas badal samjhta hai,
Main tujhse dur kaisa hu,tu mujhse dur kaisi hai,
Yeh tera dil samjhta hai ya mera dil samjhta hai

mohobbat ek ehsason ki paawan si kahaani hai,
kabhi kabira deewana tha kabhi meera diwaani hai,
Yahaan sab log kehte hain meri aakho mein aansu hai,
Jo tu samjhe toh moti hain jo na samjhe to paani hai

Bahut bikhra bahut toota thapede seh nahi paaya,
Hawaaon ke ishaaron par magar main beh nahi paaya,
Adhoora an suna hi reh gaya youn pyaar ka kissa,
Kabhi tum sun nahi paaye, kabhi main keh nahin paaya

Bhramar koi kumudni par machal baitha toh hungama,
Humare dil mein koi khwaab pal baitha toh hungama,
Abhi tak doob kar sunte the sab kissa mohobbat ka,
Main kisse ko hakikat mein badal baitha toh hungama

Main uska hun wo is ehsaas se inkaar karta hai,
Bhari mehfil mein bhi ruswaa har baar karta hai,
yaki hai saari duniya ko khafa hai humse woh lekin,
Mujhe maaloom hai phir bhi mujhi se pyaar karta hai

Main jab bhi tez chalta hoon nazaare choot jate hain,
Koi jab roop gadhta hoon to saanche toot jate hain,
Main rota hoon to aakar log kandha thap thapate hain,
Main hasta hoon to mujhse log aksar rooth jate hain

Mat poooch ki kya haal hai mera tere aage,
Tu dekh ke kya rang hain tera mere aage

Samandar peer ka andar hain lekin ro nahi sakta,
Yeh aasu pyaar ka moti hain isko kho nahi sakta,
Meri chahat ko dulhan tu bana lena magar sun le,
Jo mera ho nahi paaya woh tera ho nahi sakta

sazi hai khushnuma mehfil sabhi dildaar bethe hain
jidhar dekho udhar hi ishq ke bimar bethe hain
hanseeno ki adaon pe sabhi dil haar bethe hain
hazaron mar-mite aur sekron tayaar bethe hain.