8:42 PM

Bhramar koi kumudini par machal baitha to hungama - DR. KUMAR VISHWAS

Huye paida to dharti par hua aabad hungama
Jawani ko humari kar gaya barbaad hungama

Humare bhaal par takdeer ne ye likh diya jaise
Humare saamne hai aur humare baad hungama 


Ibarat se gunaaho tak ki manzil mein hai hungama
Zara si pee ke aaye to bas mehfil mein hai hungama

Kabhi bachpan jawani aur budhape mein hai hungama
Zehan mein hai kabhi to fir kabhi dil mein hai hungama

Kalam ko khoon mein khud ke dubota hoon to hungama
Girebaan apna aansoo mein bhigota hoon to hungama

Jo mujh par bhi nahi khud ki khabar wo hai zamane par
Main hansta hoon to hungama main rota hoon to hungama

Jab aata hai jeewan mein khayalaaton ka hungama
Ye jajbaaton mulakaaton hansi raaton ka hungama

Jawani ke kayaamat daur mein ye sochte hain sab
Ye hungame ki baate hain ya hain baaton ka hungama

Kabhi koi jo khulkar hans liya do pal to hungama
koi khwaabon mein aakar bas liya do pal to hungama

Main us se door tha saazish hai saazish hai
Use baahon mein khulkar kas liya do pal to hungama

Bhramar koi kumudini par machal baitha to hungama
Humare dil mein koi khwaab pal baitha to hungama

Abhi tak doob kar sunte the sab kissa mohabbat ka
Main kisse ko hakikat mein badal baitha to hungama 

0 comments: